Saturday, 24 March 2018

maiñ DhūñDtā huuñ jise vo jahāñ nahīñ miltā
na.ī zamīn nayā āsmāñ nahīñ miltā
na.ī zamīn nayā āsmāñ bhī mil jaa.e
na.e bashar kahīñ kuchh nishāñ nahīñ miltā
vo teġh mil ga.ī jis se huā hai qatl mirā
kisī ke haath us par nishāñ nahīñ miltā
vo merā gaañv hai vo mere gaañv ke chūlhe
ki jin meñ shole to shole dhuāñ nahīñ miltā
jo ik ḳhudā nahīñ miltā to itnā mātam kyuuñ
yahāñ to koī mirā ham-zabāñ nahīñ miltā
khaḌā huuñ kab se maiñ chehroñ ke ek jañgal meñ
tumhāre chehre kuchh bhī yahāñ nahīñ miltā

-Kaifi Azmi

No comments:

Post a Comment

“अगर आपके पास कमी है, अगर आप ग़रीबी या रोग के शिकार हैं, तो ऐसा इसलिए है क्यूँ की आप अपनी शक्ति पर यक़ीन नहीं करते हैं या उसे समझते नहीं है...